Wednesday, December 27, 2006

Tum naa Aaye



Tum naa Aaye
toh har cheez
vahi thi ki jo hai
aasma hadde nazar
raah guzar , raah guzar
sheeshe maye
sheeshe maye
aur ab sheeshe maye , raah guzar
range falak
rang hai dil ka mere khoone jigar hone tak
champai rang kabhi raahte deedar ka rang,
surmai rang hai saahte bezaar ka rang
zard patton ka khaso khaar ka rang
surkh phoolon ka
dehekte hue gulzar ka rang
zeher ka rang lahoo rang
shabe taar ka rang
aasma raah guzar, sheeshe maye sheeshe maye
koi bheega hua daaman
koi dukhti hui rag
koi har lahaza badalta hau aaena hai
ab jo aae ho toh thaharo ki
koi rang , koi rutt, koi shae
ek jagha par thehere
phir se ek baar har chees vahi ho ki jo hai
aasma hadde nazr, raah guzar raah guzar
sheeshe maye , sheeshe maye
- Fiaz Ahmed Faiz
( you can hear it here)
( Photograph : Me)

1 comment:

Soumik said...

hello anvita.
nice to have you here.
and it'd be great to have your photos on this blog of ours.

[p.s. could you like add who the song's by, and whats the source? also add that the photo is yours no?]

btw, the christmas photos were lovely.
s.